17 September, 2005

I say there are no depressed words just depressed minds.




Saturdays are usually happy, soothing and carefree...but this time it was not like tht...
A bit frusturating, tearful day ! Anyways...life has to move on ...
So letz wear a the fake smile again :--)

jiye.nge magar muskuraa naa sake.nge ke ab zindagii me.n muhabbat nahii.n hai
labo.n pe taraane ab aa naa sake.nge ke ab zindagii me.n muhabbat nahii.n hai

bahaare.n chaman me.n jab aayaa kare.ngii nazaro.n kii mahafil sajaayaa kare.ngii
nazaare bhii ham ko ha.Nsaa na sake.ngii ke ab zindagii me.n muhabbat nahii.n hai

javaanii bulaayegii saavaan kii raate.n zamaanaa karegaa muhabbat kii baate.n
magar ham ye saavaan manaa na sake.nge ke ab zindagii me.n muhabbat nahii.n hai


Kaif Irfani

4 Comments:

Blogger Manish Kumar said...

Always loved ur choice of poetry!

javaanii bulaayegii saavaan kii raate.n zamaanaa karegaa muhabbat kii baate.n
magar ham ye saavaan manaa na sake.nge ke ab zindagii me.n muhabbat nahii.n hai


kya baat hai!
par ye sat ko udaasi kaisi !
are jo nahin hai wo humesha nahin rahega aisa to nahin

So
wo subah kabhie to aayegi
jab ZA muskurayegi :)

1:51 AM  
Blogger PuNeEt said...

Awesome poem...
Bahut hi khubsurat hain...

Par aake mukh par udasi bilkul bhi achi nahin lagti
so cheer up and smile
and the smile shouldnt be a fake one ;-)

Take Care
Cheers

4:19 PM  
Blogger sebia said...

beautiful poetry zyenab..just like ur name:)
it coaxed me 2 write smthing..here i go extempre
khamoshi say raatoon ko julna
wehshtoon say pehroon baatein karna
khuwaboon ki kirchioon say aankhain bighona
dhool bhadi zindagee ki raahoon main
ek meherbaan chehray ko dhoondhna
kay ab zindagee main sab kuch nahin hai
muhabbat nahin too kuch bhi nahin hai:0)

4:46 AM  
Blogger Dawn said...

amazing choice of ghazal by Irfani ...but hey...aisee bhi kya naubat aagayee ke zindagi mein mohabbat ki kami mehasus hone lagi hmm?
we need to talk ;)
naumeedi choriye....ye kya..kitnee baar samjhaya hai...phir bhi ...grrrrrr!!

You better take care
cheers!

10:24 PM  

Post a Comment

<< Home