Jaab samnay tum aa jatay ho.....
Jaab samnay tum aa jatay ho kya jaiyee kya ho jata
hai ....
kuch mil jata hai ,kuch kho jata hai kya janiyee kya ho jata hai...
Jaab samnay tum aa jatay ho ,kya jaiyee kyaaaa ho jata hai ...
cahaa tha yeh kahin gay...
socha tha woh kahain gay...
aye woh samnay tou kuch bhi na keh sakay ...
bus dekha kiyee unhay hum...
dekha kiyee unhay hum...
dekh kar tum ko yaqeen hota hai koi itna bhi haseen hota hai.....
dekh paatay hain khaan hum tum ko
dil kaheen hosh kahen hota hai.....
Jaab samnay tum ajatay ho ,kya jaiyee kya ho jata hai ...
kuch mil jata hai kuch kho jata hai kya janiyee kya ho jata hai...
aakar chaly na jana..
aesay nahi satana ...
dey kar hasi laboun ko ankhoun ko maat rulanaa...
dena na beqaari dil ka karaar baan k...
yadoun mai kho na jana tum intezar ban k...
bhool kar tumko na ji paengay ...
bhool kar tumko na ji paengay ...
saath tum hogi jahan jaeignay...
hum koi waqt nahi hain humdum...
jaab bulaogay chalay ayengay...
Jaab samnay tum ajatay ho kya jaiyee kya ho jata hai ...
kuch mil jata hai kuch kho jata hai kya janiyee kya ho jata hai...
8 Comments:
Are Zainab jee
ye aapne likhi hai kya?
ab poets ke sath yahi problem hai ki gar wo koi poem post karein to ye samajh pana mushkil hai ki kiski hai!
aap clarfy karein phir hum apne vichaar vyakta karenge hee hee;)
ye IQ to suna tha ye ZPPQ kya hai ISHA ji :)
Waise Zainab ek film aayi thi Sajan
Uska ek song tha jo un dinon behad hit hua tha bahut kuch is poem ke mukhde se milta julta hua
to suniye
mera dil bhi kitna pagal hai
ye pyar to tumse karta hai
par saamne jab tum aate ho
kuch bhi kehne se darta hai.......
manish ji :
Waah ,aap nay hamay is geet ka writer soch kar tou dou mint k liye nariyaal k paidh par hi carha diya ;)hehehehe,arey kahan hum aur kahan ye geet ,itna acha likhana nahi ata abhi hamay :)ye geet likha kis nay hai ye tou hum nahi jantay ,par hum nay isay suna hai jaggu ji aur asha ji ki awaaz mai,pasand aya sou yahan likh diya :)
aap nay sajan film k song ki jo chand lines pesh ki yahan woh tou hoo-ba-hoo wohi kehti hain jo is geet k writer kehtay hain :),itna purana aur miltay jultay meaning rakhnay wala song pesh kar k tou aapnay prove kar diya k aapki yaadaast aur zouq-o-shouk tou waqai daraj-e-kamal par hai :),Buhat buhaat sukira is behtrein pesh kash k liye :)ishi khushi mai hum aapko ye geet sunana cahiye gay jo hum nay pesh kiya hai jaggu aur asha ji ki awaz mai :) Link hazir hai khidmaat mai ,Enjoy !!
http://www.mag4you.net/music/jagjit-singh.asp?bhcp=1#download
isha ji
Aap ki pesh kash bhi khoob rahi esp. last line ,usay padh kar hum buhat zor say hansay :D but really its true, waqai kuch log sochtay hain ye bhi keh dalein gay vo bhi keh dalain gay aj magar asmaan say gira aur khajoor mai atka isliye " kaisay hain aap" say agay badhtay hi nahi ;)
jahan tak manish ji k zauq ki baat hai tou hum kahye detay hain un kay zauq-o-shauq ka tou javab nahi,geet say lay kar ghazal tak , nazam say laykar nasar tha, he has an amaizing sense of taste,koi muqabil nahi hai is maumlay mai unka ;) ,hum sab tou bus shagird hain un k :)
Hats off to u manish ji :)
Zainab - Areeeeeeeeeee itti tareef karne ka di aapne humari! Hum iske qabil nahin ji :)!
Waise bhi Isha ne teasing mood mein likha tha!
Isha ji - Humne aap ki kisi baat ka bura nahin mana! Haan ZPPQ sun ke ghabra juroor gaya tha socha new gen ka koi slang hoga isiliye pooch liya!
Aur haan ye comment baar baar delete kaun kar raha hai bhai
Miza ji :
Adaab Arz hai!
aapko reply karnay mai zara late hogaye hain ,isliye mazurat :)
aap ki pesh-kash behud umdaah rahi,aur hum aap ki baat say bilkul itefak kartay hain k waqai ishq insaan ki zaroorat hai ;):D
hehehe jaante the hamare jagu ji ki nazm hehehe....
jiti raho zainab ji ;)
beautiful!!!!
Are Zainab kahan gayab ho gayi tum wo bhi bina bataye!
Very BAD :(
Post a Comment
<< Home