13 May, 2005

Hawa ko awara kehnay waloun...




Hawa ko awara kehnay waloun
kabhi tou socho,kabhi tou likho
hawain kyun apni manziloun say bhatak gayi hain
na in ki ankhoun mai khuvaab koi
na khuvaab mai intezaar koi
ab in k saray safar mai subah-e-yaqeen koi,
na shaam-e-sad aetebaar koi,
na inki apni zameen koi,na asmaan par koi sitara
na koi mausaam,na koi khushboo ka istea'ra
na roshni ki lakeer koi,na inka apna safeer koi,
jo in kay dukh par kitaab likhay
musafiraat ka azaab likhay
hawa ko awara kehnay waloun
kabhi tou socho !

14 Comments:

Blogger Dawn said...

wha!! gumnaaaam ji...bahut khub pesh kiya aapne!!!

koi kitaab na likhe lekin aapne to nazm pesh kar dee..mubaraq isi baat per ;)

good one!
Thnx

5:41 AM  
Blogger Manish Kumar said...

kal forum pe ise padha!
aur ek hindi poem ki yaad aa gayi
jahan hawa ka roop kuch aur hai aur mujhe hawa ka wo masti bhara roop jyada asand hai.
kyunki mother nature ke jin forms se mujhe sabse jyada pyar hai to wo hawa hi hai khair us poem ki kuch panktiyan aapki is post ke naam

hawa hoon hawa hoon
basanti hawan hoon
suno baat meri
anokhi hawa hoon
badi baawli hoon
badi mastmaula
nahin kuch fikar hai
badi hi nidar hoon
jidhar chahti hoon
udhar ghooomti hoon
musafir azab hoon

na ghar baar mera
na uddeshya mera
na asha kisi ki
na premi na dushman
jidhar chahti hoon
udhar ghooomti hoon
hawa hoon hawa hoon
basanti hawan hoon

1:02 PM  
Blogger Dawn said...

ufff manish yeh poetry meine padhi hey.................kahan yaad nahi :( lekin I remember this very much the moment I read first line.........uff thanx for such a beautiful flash back :)

10:27 PM  
Blogger Zyenab said...

Dawn : ye tou aap k husn-e-nazar ka kamal hai janab :)pasandgi k liye buhat buhat sukria :)

manish : aap nay tou hamari post par char chand laga diye, bohat bohat sukria is nawazish k liye :)

9:09 PM  
Blogger Zyenab said...

WOW !!
buhaat achay ashaar pesh kiye aapnay isha ji :) aab ek nazm suniye hum say !

Hawa kaab hath athi hai !

Hawa beshakl hai lakin kayi shaklein banati hai
kaii manzar sajati hai
kabhi saakhoun say phooloun ko
kabhi phooloun say khushboo ko urati hai
kabhi ye titlioun k
narm-o-nazuk paraoun mai rang bharti hai
inhein urna sikhati hai
kabhi yaadoun ki boseeda kitaboun ka inhein kaidi banati hai
kabhi sansoun ki tehni par
hayat-e-jadwaan ki fakhtaoun ko ura kar habz k khanjar chalati hai
hawa beshakl hai phir bhi kai manzar sajati hai
kai rastay bichati hai
kabhi tapti howi dopehar mai sansaein banati hai
kabhi saye ki ungli tham kar bhatkay musafir ko
wafa ki raah par chalana sikhati hai
kabhi manzil say kuch pehlay guman-o-badgumani ki fiza tayar karti hai
musafir ko thaka deti hai dewarein uthati hai
Hawa beshakl hai phir bhi kayi shaklein banati hai
kaii manzar sajati hai
kabhi tareekh ratoun mai chiragoun ki lououn say khailti hai
phir bujhati hai
kabhi din k ujalaoun say chamakti rait ko talvaar karti hai
badam ko dhoop k hathoun jalti hai
Hawa beshakl hai phir bhi kai shaklein banati hai
HAWA KAAB HATH ATI HAI !

12:06 PM  
Blogger Unknown said...

kya khub kahi hai dost...mai ab tak life ko happiness achieve karne ka ek jaria hi samjhta tha per aaj aapne meri aankhen khol di...yes u are correct life is meant to be being useful,and to stand for something that can be counted upon later...

5:18 PM  
Anonymous Anonymous said...

Hawa hoon hawa main poem used to be in my CBSE Hindi course curriculum in 6th standard. I am trying to find the complete tet for past 2 years but I am unable to find. Manishji you have already written one paragraph but two more paras were there. I also only remember this para only. In case, you remember the full text please let me know. Thanks in advance.

12:56 AM  
Anonymous Smriti said...

Hi i remember some bits of the next para.

Chadi ped mahua thapa thap machake Giri dham se phir,
Chadi aam upar usse bhi jhakora, kiya kaan mein ku.
Utar kar bhagi main hare khet pahunchi,
Wahan kheto main lehar khoob mari, Peher do pahar ka aneko peher tak
-------------
Hawa hun hawa main basanti hawa hun.

2:56 PM  
Blogger Unknown said...

ya i'hv the full poem.

7:21 AM  
Anonymous Anonymous said...

Who knows where to download XRumer 5.0 Palladium?
Help, please. All recommend this program to effectively advertise on the Internet, this is the best program!

11:54 PM  
Blogger Unknown said...

Hi Smruti.. Can you please mail me the full poem of hawa hawa mi basanti hawa hu.. to dudadudi@gmail.com. it will be great help..thanks

8:46 PM  
Blogger Rahul Jo said...

most of you want to have that poem by Kedarnath agarwal, which i am sure you guys read in 6th in CBSE/KV.
U can mail me at rahul.j.jo@gmail.com to get that poem

12:11 PM  
Blogger Rajeev said...

Hawaa Hu Hawaa Hu Basanti Hawaa hu So Intresting and Everygreen poem 4 My life..!ye poem Mughe Bachpan ki yad Dilate haii..!!can any one have cmplete poem of dat if u have plzzz send me in my id r.jcool1.co.in@gmail.com

5:42 PM  
Blogger Rajeev said...

Hey smruti , Can you send me full poem in my Email ID r.jcool1.co.in@gmail.com. if u have Khub lare Mardani wo to jhasi bare rani thiii???

5:49 PM  

Post a Comment

<< Home